Surah Naba With Urdu Tarjuma.
Surah Naba:- Makki Hai.
Surah Number:- 78/114.
Aayatien:- 40.
Ruku:- 02.
Bismillah Hir Rahmanir Rahim:
Shuru Karta Hoon Allah Taala Ke Naam Se Jo Bada Meharbaan Nihayat Rahem Wala Hai.
Urdu Tarjuma:
(AayatNo37):- (Is Rab Ke Ki Taraf Se Milega Jo Ke) Aasmanow Ka Aur Zameen Ka Aur Jo Kuch Inke Darmiyan Mai Hai Inka Parwardigar hai Aur Badi Baqhshish Karne Wala hai, Kisi Ko Isse Baat Cheet Karne Ka Ikhtiyar Nahi Hoga. (Aayat No38):- Jis Rooh Aur Farishte Safien Bandh Kar Khade Honge To Koi Kalam Na Karsake ga Magar Jise Rahman Ijazath Dede Aur Wo Thik Baat Zabaan Se Nikle. (Aayat No39) :-Ye Din Haqh Hai Ab Jo Chahe Apne Rab ke Pass Naik Aamal Karke Thikana Bana Le. (Aayat No40) :-Humne Tumhe An Khareeb Aane Wale Azaab Se Daradiya (Aur Chokna Kardiya) Hai. Jis Din Insaan Apne Hatho Ki Kamai Ko Dekh Le Ga Aur Kafir Kahaega Ke Khaash! Mai Mitthi Hojata.
IMPORTANT NOTE:
ABOUT US:
Like | Share | Comment 👍
👉 ALLAH HI BANDE NAWAZ👈
👉 KAHO ALLAH EKHAI 👈
Follow Subscribe and Join to our Channels Pages and Groups For The Updates Videos Photos and Much More.
Youtube: https://www.youtube.com/channel/UCp9aIc3kLJVwzsGOKNbMspg Daily Motion: https://www.dailymotion.com/KahoAllahEkHai Facebook: https://www.facebook.com/KAHO-ALLAH-EK-HAI-105191037932047 Instagram: https://www.instagram.com/kahoallahekhai/ Twitter: https://twitter.com/kahoallahekhai Pinterest: https://in.pinterest.com/kahoallahekhi
Title: Ya Allah Rahem Karde Ya Allah Karam Karde | Best Dua and Hamd Kalam | Video | Lyrics.
Artist: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Lyrics: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan. Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal. Video Editing: Mohammed Hamza. Website:www.AsiaIslamicWebSeries.Com. Studio: Asia Islamic Studio.
Aayatien |
Urdu Tarjuma |
Aayat (1):- |
Ye Log Kis Cheez Ke Bare Mai Puch Guch Kar
Rahien Hai. |
Aayat (2):- |
Ye Badi Qabar Ki
Mutalliq |
Aayat (3):- |
Jis Ke Bare Mai Ye Ikhtilaf Kar Rahien Hai |
Aayat (4):- |
Yaqeenan Ye Abhi Jaan Lenge |
Aayat (5):- |
Phir Ba Yaqin Inhe Bohat
Jald Maloom Hojaye Ga. |
Aayat (6):- |
Kya Humne Zameen Ko Farsh
Nahi Banaya? |
Aayat (7):- |
Aur Paharow Ko Maikhien Nahi
Banaya? |
Aayat (8):- |
Humne Tumhe Joda Joda Paida
Kiya. |
Aayat (9):- |
Aur Humne Tumhari Neend Ko Aaram Ka Sabab
Banaya. |
Aayat (10):- |
Aur Raat Ko Humne Parda
Banaya. |
Aayat (11):- |
Aur Din Humne waqt Rozgar Banaya. |
Aayat (12):- |
Aur Tumhare Uper Humne Saat
Mazboot Aasman Banaye. |
Aayat (13):- |
Aur Ek Chamakta Huwa Roshan Chirag(Suraj) Paida
Kiya. |
Aayat (14):- |
Aur Badalow Se Humne Bakasrat Bahta Huwa Paani
Barsaya. |
Aayat (15):- |
Take Isse Anaaj
Aur Sabza Ugao. |
Aayat (16):- |
Aur Ghane Bhaaq Ugaye. |
Aayat (17):- |
Beshak Faisle Ka Din Muqarar Hai. |
Aayat (18):- |
Jis Din Ke Soor Mai Phoonka Jayega Phir Tum Fouj
Dar Fouj Chale Aao Ge. |
Aayat (19):- |
Aur Aasman Kholdiya Jaye Ga To Is Mai Darwaze
Darwaze Hojayin Ge. |
Aayat (20):- |
Aur Pahaarh Chalaye Jayinge Pas Wo Saraab Hojayinge. |
Aayat (21):- |
Beshak Dozakh Ghaat Me Hai. |
Aayat (22):- |
Sarkashow Ka Thikana Wahin Hai. |
Aayat (23):- |
Is mai Wo
Muddatow Tak Pade Rahinge. |
Aayat (24):- |
Na Kabhi Is Mai Khanki Ka Maza Chako Ge,
Na Paani Ka. |
Aayat (25):- |
Siwaye Garam Paani Aur(Bahti) Peep Ke. |
Aayat (26):- |
(Inko) Pura Pura
Badla Milega. |
Aayat (27):- |
Inhe To Hisaab Ki Towghi Na Thi. |
Aayat (28):- |
Aur Bebaki Se Hamari aayatow Ki Takzeeb Karte
The. |
Aayat (29):- |
Hum Har Ek
Cheez Ko Likh Kar Shumaar
Kar Rakaha Hai. |
Aayat (30):- |
Ab Tum (Apne Kiye Ka) Maza Chako Hum Tumhara Azaab Hi Badhate Rahinge. |
Aayat (31):- |
Yaqeenan Parhezgar Logon Ke Liye Kamiyabi
Hai. |
Aayat (32):- |
Baghat hai Angoor Hai. |
Aayat (33):- |
Aur Nojawan Kuwari Hum Umer Aowratein Hai. |
Aayat (34):- |
Aur Jhalakte Huwe Jaam Sharab
Hai. |
Aayat (35):- |
Waha Na To Wo Behuda Baatein Suninge Aur Jhooti
Baatien Suninge. |
Aayat (36):- |
Inko Tere Rab Ki Taraf
Se (Unke Naik Amaal Ka) Ye Badla Milega Jo Kafi Inaam Hoga. |
Aayat (37):- |
(Is Rab Ke
Ki Taraf Se Milega Jo Ke) Aasmanow Ka Aur Zameen Ka Aur Jo Kuch Inke Darmiyan
Mai Hai Inka Parwardigar hai Aur Badi Baqhshish
Karne Wala hai, Kisi Ko Isse Baat Cheet
Karne Ka Ikhtiyar Nahi Hoga. |
Aayat (38):- |
Jis Rooh Aur Farishte Safien Bandh Kar Khade Honge
To Koi Kalam Na Karsake ga Magar
Jise Rahman Ijazath Dede Aur Wo Thik
Baat Zabaan Se Nikle. |
Aayat (39):- |
Ye Din Haqh Hai Ab Jo Chahe
Apne Rab ke Pass Naik Aamal Karke Thikana
Bana Le. |
Aayat (40):- |
Humne Tumhe An Khareeb Aane
Wale Azaab Se Daradiya (Aur Chowkanna Kardiya)
Hai. Jis Din Insaan Apne Hatho
Ki Kamai Ko Dekh Le Ga
Aur Kafir Kahaega Ke Khaash!
Mai Mitthi Hojata. |
|
|
0 Comments